nahin chhupta tere itab ka rang
ki badalne laga naqab ka rang
bhar gaya aankh mein sharab ka rang
zalim uf re tera shabab ka rang
ab to lale hain jaan-e-muztar ke
aur hi kuchh hai iztirab ka rang
tere aate hi ho gai pani
uD gaya mohtasib sharab ka rang
rang laega dida-e-pur-ab
dekhna dida-e-pur-ab ka rang
dagh daman ne bhi kiya paida
hashr ke rose aaftab ka rang
shaiKH jaana hai tujh ko jannat mein
dekhta ja meri sharab ka rang
sadqe main apni parsai ke
ki buDhape mein hai shabab ka rang
KHun se jaise wasta hi nahin
saf hai KHanjar-e-pur-ab ka rang
rish-e-waiz safed hai kitni
nahin chaDhta kabhi KHizab ka rang
rang ka us ke puchhna kya hai
jis ka saya bhi de gulab ka rang
sach hai ai hazrat-'riyaz' ye baat
ki juda sab se hai janab ka rang
Ghazal
Nahin chhupta tere itab ka rang
Riyaz Khairabadi