nahin ab ba-wafa koi nahin hai
magar shikwa-gila koi nahin hai
bhaTakta hi phire hai qafila wo
wo jis ka rahnuma koi nahin hai
ye nagri hai faqat gungon ki nagri
kisi se bolta koi nahin hai
ye kaise log hain basti hai kaisi
kisi ko jaanta koi nahin hai
chalate hain yahan bas apni apni
kisi ki manta koi nahin hai
bahut hi dur hain hum tum se lekin
dilon mein fasla koi nahin hai
yahan bas tu hi tu hai aur main hun
tere mere siwa koi nahin hai
gharib shahr hain is shahr mein hum
hamara aashna koi nahin hai
darichon se meri aahaT ko sun kar
'nazir' ab jhankta koi nahin hai
Ghazal
Nahin ab ba-wafa koi nahin hai
Nazeer Meeruthy