اردو हिंदी
Naghma-o-ishq se hain subha-o-zunnar mile | Shaahi Shayari
naghma-o-ishq se hain subha-o-zunnar mile

Ghazal

Naghma-o-ishq se hain subha-o-zunnar mile

Meer Hasan

;

naghma-o-ishq se hain subha-o-zunnar mile
ek aawaz pe do saz ke hain tar mile

main to aashufta-e-dil aur dil aashufta-e-zulf
KHub hum donon giraftar giraftar mile

maslahat hai ki teri chashm ko hai dil se hijab
ranj ho aur jo bimar se bimar mile

din tawaqqo hi tawaqqo mein kahan tak guzren
mar gae hijr mein bas ab to kahin yar mile

apni hi waza pe lawenge KHuda KHair kare
be-tarah rahte hain is shoKH se ayyar mile

dard-o-ranj-o-alam o hasrat-o-dagh o gham-o-rashk
mujh ko kya kya na tere ishq mein aazar mile

kya baDi umr hai dil mein abhi guzra tha mere
ki maza howe jo aise mein wo dildar mile

bare to aan hi pahuncha mera ji shad hua
main ne ab jaana ki hain donon ke asrar mile

mund le jab tu in aaankhon ko jahan se tu 'hasan'
dil ki aaankhon se tujhe yar ka didar mile