اردو हिंदी
Nafraton se chehra chehra gard tha | Shaahi Shayari
nafraton se chehra chehra gard tha

Ghazal

Nafraton se chehra chehra gard tha

Akhtar Feroz

;

nafraton se chehra chehra gard tha
mujrim-e-insaniyat har fard tha

kuchh hawaon mein bhi tha KHauf-o-hiras
kuchh fazaon ka bhi chehra zard tha

be-hisi mein dafn thi insaniyat
aadamiyyat ka bhi lahja sard tha

apne kandhon par uThae apna bojh
koi aawara koi shab-gard tha

phul se chehre the murjhae hue
shahr-e-gul bhi aaj shahr-e-dard tha

jis ne duniya bhar ke gham apnae the
us ko duniya ne kaha be-dard tha

sach to 'aKHtar' ye hai us mahaul mein
mera dushman hi mera hamdard tha