nafas nafas mein hun ek bu-e-sad-gulab liye
main jagta hun nigahon mein tere KHwab liye
hamare ahd ke logon ko kya hua yaro
wo ji rahe hain magar ret ka sarab liye
main bhul sakta nahin hasrat-e-nazar us ki
wo ek shaKHs jo guzra hai iztirab liye
udas raat ki tarikiyon ne chheDa hai
ab aa bhi jao nigahon mein mahtab liye
ye chilchilati hui dhup jal raha hai badan
guzar rahi hai yunhi hasrat-e-sahab liye
Ghazal
Nafas nafas mein hun ek bu-e-sad-gulab liye
Kaif Azimabadi