nae paikar nae sanche mein Dhalna chahta hun main
mizaj-e-zindagi yaksar badalna chahta hun main
zamin teri kashish ne rok rakkha hai mujhe warna
hudud-e-KHak se bahar nikalna chahta hun main
numu ka josh Thokar marta rahta hai sine mein
lahu ka chashma hun kab se ubalna chahta hun main
guzarte ja rahe hain qafile tu hi zara ruk ja
ghubar-e-rah tere sath chalna chahta hun main
main apne barf ke paikar se KHud ukta gaya hun ab
chamak mujh par mere suraj pighalna chahta hun mein
sadaen dasht deta hai mujhe wahshat bulati hai
so KHak-e-ishq apne sar pe malna chahta hun main
idhar se bhi koi guzre ki main jis se kahun 'aslam'
charagh-e-rahguzar hun aur jalna chahta hun main
Ghazal
Nae paikar nae sanche mein Dhalna chahta hun main
Aslam Mahmood