اردو हिंदी
Nae makan mein aqide ki koi ja hi nahin | Shaahi Shayari
nae makan mein aqide ki koi ja hi nahin

Ghazal

Nae makan mein aqide ki koi ja hi nahin

Mazhar Imam

;

nae makan mein aqide ki koi ja hi nahin
KHuda to hai pa kahin banda-e-KHuda hi nahin

bharosa yun to bahut tha magar dua ke liye
jo hath hum ne uThaya to wo uTha hi nahin

har ek shaKHs yahan apne-ap mein gum hai
kisi se hath milane ka faeda hi nahin

lahu-luhan hai jo bhi udhar se aaya hai
magar ye main ki jo us rah tak gaya hi nahin

dayar-e-KHwab hai aao yahin qayam karen
yahan se yun bhi nikalne ka rasta hi nahin