naz ka mara hua hun main ada ki saugand
kushta-e-jaur-o-jafa hun main wafa ki saugand
KHwah kafir mujhe kah KHwah musalman ai shaiKH
but ke hathon mein bikaya hun KHuda ki saugand
kuchh KHabar rah-e-fana ki bhi rakhe hai hum se
kah de ai KHizr tujhe aab-e-baqa ki saugand
yar se KHwari-o-ruswai hamein behtar hai
ghair ki izzat-o-hurmat se wafa ki saugand
shama ki raushni sar kaTne se hoti hai do-chand
dard hi se mujhe hasil hai dawa ki saugand
us ki gar jaan se matlab nahin tujh ko ai miyan
chhuTe kyun khata hai har dam tu 'raza' ki saugand
Ghazal
Naz ka mara hua hun main ada ki saugand
Raza Azimabadi

