naseha faeda kya hai tujhe bahkane se
kar-e-hushyar kahin bhi hua diwane se
na gharaz kabe se matlab hai na but-KHane se
hai faqat zauq mujhe yar ke ghar jaane se
wo uTha kya ki abr-e-karam pahlu se
chashm se chashm bahe shoKH ke uTh jaane se
sozish-e-dil na yaqin ho to jigar chir ke dekh
aable lakhon paDe tere hi gham khane se
Ghazal
Naseha faeda kya hai tujhe bahkane se
Rajab Ali Beg Suroor