nama-bar bhi wahan rasa na hua
kisi surat mera bhala na hua
dard ki dad kaun de mujh ko
tu hi jab dard-ashna na hua
wahi matlub ho wahi talib
ek muamma hua KHuda na hua
muKHtasar bhi hai aur jame bhi
kya hua ka jawab kya na hua
han kaho kuchh hamein bhi ho malum
wo gila kya jo barmala na hua
ishq us dard ka nahin qail
jo musibat ki intiha na hua
tum se takmil-e-jaur ho na saki
is ada ka bhi haq ada na hua
itna pas-e-wafa to hai us ko
bewafai se be-wafa na hua
dil-kusha thi nigah-e-naz us ki
tir kyun us ka dil-kusha na hua
dil kabhi KHush hua to tha lekin
is ka ab zikr kya hua na hua
qabil-e-shukr hai wo sabr ai 'josh'
jo kabhi dast-e-iltija na hua
Ghazal
Nama-bar bhi wahan rasa na hua
Josh Malsiani