nam is allah ke bande ka bhi ruswai mein hai
jo samundar ki tarah se apni gahrai mein hai
shaKH se patta bhi uDta hai parinde ki tarah
zindagi ki koi chingari tamannai mein hai
dhup ka dariya umaD aata hai jab chaDhta hai din
koi aisi lahr kya us ki bhi angDai mein hai
jab hawaon mein aDega sab pata lag jaega
jhil nile aasman ki kitni gahrai mein hai
chhoD jati hai hawa bhi naqsh apne KHak par
sochta hun tu kahan par jalwa-arai mein hai
Dub jate hain manazir Dubte suraj ke sath
sach kaha karta tha wo bhai ki jaan bhai mein hai
lahlahati KHak ko dekha to kya dekha miyan
us ko dekha chahiye jo us ki ranai mein hai
koi darwaze ki dastak kan mein paDti nahin
but bana baiTha hun ghar mein dhyan shahnai mein hai
ghere rahta hai mujhe logon ki aawazon ka shor
wo akela dekh kar kahte hain tanhai mein hai
uDte tayyare ki khiDki se zara sa jhank le
itne hangamon-bhari duniya bhi tanhai mein hai
hum kisi shishe ko apne munh se patthar kyun kahen
jis ka jo kirdar hai wo us ki goyai mein hai
dosto kya puchhte ho haal is ke ganw ka
aaina lipTa hua talab ki kai mein hai
uTh rahi thin dur tak pani ki diwaren 'KHalil'
hum ye samjhe naqs koi apni binai mein hai
Ghazal
Nam is allah ke bande ka bhi ruswai mein hai
Khaleel Rampuri