nale dam lete nahin ya-rab fughan rukti nahin
go qafas mein band hun lekin zaban rukti nahin
Dar raha hun TuT jaengi qafas ki tiliyan
kya musibat hai hawa-e-bostan rukti nahin
didani hain mulzim-e-hasti ki tufan-KHeziyan
Dubne se kashti-e-umr-e-rawan rukti nahin
uD ke hum pahunchenge manzil par hawa-e-shauq mein
karwan ruk jae gard-e-karwan rukti nahin
diqqaten hael hain fann-e-sher mein lekin 'aziz'
ek aandhi hai meri tab-e-rawan rukti nahin
Ghazal
Nale dam lete nahin ya-rab fughan rukti nahin
Aziz Hyderabadi