nala jidhar mera guzar kar gaya
tir sa har dil mein asar kar gaya
dil na raha aap mein aur main ba-KHud
meri taraf jab wo nazar kar gaya
khol ke zulfon ke tain chehra par
yar baham sham-o-sahar kar gaya
ahl-e-hawas raat gali mein teri
jaane se ai shoKH hazar kar gaya
aur jo mujh sa tha koi jaan-fishan
dar pe tere ji se guzar kar gaya
dekhiyo sabit-qadami qais ki
ishq mein kya umr basar kar gaya
rah-e-KHatarnak-e-mohabbat ko tai
ba-qadam dida-e-tar kar gaya
koi tha kuche mein sanam ke jo aaj
girya-e-KHun ta-ba-kamar kar gaya
aql pe nazan hun 'jahandar' ki
dil na diya us ko hunar kar gaya

Ghazal
Nala jidhar mera guzar kar gaya
Meerza Jawan Bakht Jahandar