اردو हिंदी
Nala-e-subh ke baghair giriya-e-sham ke baghair | Shaahi Shayari
nala-e-subh ke baghair giriya-e-sham ke baghair

Ghazal

Nala-e-subh ke baghair giriya-e-sham ke baghair

Krishna Mohan

;

nala-e-subh ke baghair giriya-e-sham ke baghair
hota nahin visal-e-yar soz-e-dawam ke baghair

tu ne agar kiya na yaad shaq rahega na-murad
kaise kaTegi zindagi tere payam ke baghair

hai ye mera hi hausla karta hun roz samna
gardish-e-subh-o-sham ka gardish-e-jam ke baghair

arsa hua wo fitnagar aaya nahin kabhi idhar
suni paDi hai rah-guzar husn-e-KHiram ke baghair

kaif-e-nashat dam-ba-dam chumta hai mere qadam
chalta nahin hun ek gam aap ke nam ke baghair

jab bhi mile wo na-gahan jhum uThe hain qalb o jaan
milne mein lutf hai agar milna ho kaam ke baghair

mere junun ke faiz se garmi-e-shauq aa gai
sard thi mahfil-e-tarab mere kalam ke baghair