اردو हिंदी
Nala-e-dil ki to kotahi nahin | Shaahi Shayari
nala-e-dil ki to kotahi nahin

Ghazal

Nala-e-dil ki to kotahi nahin

Joshish Azimabadi

;

nala-e-dil ki to kotahi nahin
par asar kuchh us ko hota hi nahin

kitna wo qatil hai be-KHauf-o-KHatar
tegh-e-KHun-aluda dhota hi nahin

us gali mein jis tarah rota hun main
us tarah to koi rota hi nahin

KHar-zar-e-ishq ko kya ho gaya
panw mein kanTe chubhota hi nahin

tark ki lazzat se waqif kaun hain
gar na hota jaan khota hi nahin

jaanta gar dil hai mazra yas ka
tuKHm-e-ummid is mein bota hi nahin

jon suKHan aata hai silk-e-nazm mein
yun koi moti pirota hi nahin

KHwab mein 'joshish' wo aae kis tarah
aashiq-e-be-tab sota hi nahin