اردو हिंदी
Nakaami-e-qismat ka gila chhoD diya hai | Shaahi Shayari
nakaami-e-qismat ka gila chhoD diya hai

Ghazal

Nakaami-e-qismat ka gila chhoD diya hai

Muzaffar Razmi

;

nakaami-e-qismat ka gila chhoD diya hai
tadbir se taqdir ka ruKH moD diya hai

wo jurm bhi ek azmat-e-kirdar hai jis ne
TuTa hua ek rishta-e-dil joD diya hai

dil Dub chala aaKHir-e-shab KHushk hain aankhen
aa ja ki sitaron ne bhi dam toD diya hai

bahte hue dekhe hain udhar waqt ke dhaare
ruKH hum ne iradon ka jidhar moD diya hai

fankar ka ehsas-e-ziya-bar tha jis mein
haalat ne wo shish-mahal toD diya hai

andaz-e-ghazal aap ka kya KHub hai 'razmi'
mahsus ye hota hai qalam toD diya hai