na-munasib hai KHafa nalon ko sun kar hona
abhi aaya hi nahin tum ko sitamgar hona
hai sitam ka ye karam aah nahin karte hum
warna aasan na tha sabr ka KHugar hona
nahin rahti koi rok ahl-e-junun ke aage
koi diwar ho shaq ho ke use dar hona
ro paDa main bhi pasija jo wo but nalon par
qabil-e-rahm hai insan ka patthar hona
aa ke samjhae wo taskin ka pahlu hum ko
man lenge dil-e-betab ka patthar hona
gor mein dafn kiya jab na ruke zindan mein
kis tarah dekhte diwanon ka be-ghar hona
qissa-e-tur-o-kalim aap sunate hain fuzul
nahin mumkin jo tajalli ka mukarrar hona
chhoD kar daira-e-haq ko na jae 'raghib'
kufr hai silsila-e-shaiKH se bahar hona

Ghazal
Na-munasib hai KHafa nalon ko sun kar hona
Raghib Badayuni