اردو हिंदी
Na tha dil hamara kabhi gham se waqif | Shaahi Shayari
na tha dil hamara kabhi gham se waqif

Ghazal

Na tha dil hamara kabhi gham se waqif

Mirza Asman Jah Anjum

;

na tha dil hamara kabhi gham se waqif
magar ab hua aap ke dam se waqif

ye batlao hum ko bhi pahchante ho
hamein kya jo ho sare aalam se waqif

abas aati hai roz ghar ghar ke badli
nahin kya mere dida-e-nam se waqif

unhen haal-e-dil kis tarah likh ke bhejen
na hum un se waqif na wo hum se waqif

dikhaya asar aah ne apni 'anjum'
ki hote chale hain wo ab hum se waqif