اردو हिंदी
Na suni par na suni usne dil-e-zar ki arz | Shaahi Shayari
na suni par na suni usne dil-e-zar ki arz

Ghazal

Na suni par na suni usne dil-e-zar ki arz

Tanvir Dehlvi

;

na suni par na suni us ne dil-e-zar ki arz
kaun sunta hai bhala aise gunahgar ki arz

chalo aahista ki hoti hai qayamat barpa
fitna-e-hashr ne ye us se kai bar ki arz

jumbish-e-lab hai dam-e-naza ye kuchh kahta hai
sun to lo apne zara mail-e-guftar ki arz

zikr-e-aghyar se chhiDka kiye zaKHmon pe namak
dam-e-kushtan na suni kushta-e-talwar ki arz

madh-KHwan aal-e-eba ka main rahun ai 'tanwir'
hai ye KHidmat mein janab-e-sah-e-abrar ki arz