na sahi hum pe inayat nahin paimanon ki
khiDkiyan khul gain aankhon se to mai-KHanon ki
aa nahin sakta samajh mein kabhi farzanon ki
surKH-ru kaise jabinen huin diwanon ki
zulf bikhrae sar-e-sham pareshan hain wo
qismaten auj pe hain chaak-garebanon ki
dastan kohkan-o-qais ki farsuda hui
surKHiyan hum ne badal Dali hain afsanon ki
aankhen to bhig chukin aur na pyar aa jae
aur rudad sunen aap na diwanon ki
mai-kade aane se pahle ka zamana tauba
KHak chhani hai haram aur sanam-KHanon ki
zaKHm-e-dil ko koi marham bhi na ras aaega
har gul-e-zaKHm mein lazzat hai namak-danon ki
jaane kab nikle muradon ki dulhan ki Doli
dil mein baraat hai Thahri hui armanon ki
zaKHm par hanste hain ashkon ko guhar kahte hain
aql mari gai is daur mein insanon ki
kitne momin nazar aate hain sanam-KHanon mein
ek kafir nahin basti mein musalmanon ki
jitni tazhik tere shahar mein apnon ki hui
utni tauhin na hogi kahin beganon ki
raat baDh baDh ke jo shama pe hue the sadqe
subh tak KHak na dekhi gai parwanon ki
haram-o-dair ki basti mein hai tamiz-o-nafaq
koi tafriq-e-milal dekhi na diwanon ki
log kyun shahr-e-KHamoshan ko khinche jate hain
jaane kya jaan hai is basti mein be-jaanon ki
ruKH badalte hain dorahe pe khaDe hain salar
sai-e-nakaam to dekhe koi na-danon ki
hatha-chhanTi hai ajab aur ajab luT-khasuT
niyyaten aur hain shayad ki nigahbanon ki
puchhe 'gulzar' se hai wo ba-zaban-e-sausan
tum kahan bazm mein aae ho zaban-danon ki
Ghazal
Na sahi hum pe inayat nahin paimanon ki
Gulzar Dehlvi