na rasta na koi Dagar hai yahan
magar sab ki qismat safar hai yahan
sunai na degi dilon ki sada
dimaghon mein wo shor-o-shar hai yahan
hawaon ki ungli pakaD kar chalo
wasila yahi mo'tabar hai yahan
na is shahr-e-be-his ko sahra kaho
suno ek hamara bhi ghar hai yahan
palak bhi jhapakte ho 'maKHmur' kyun
tamasha bahut muKHtasar hai yahan

Ghazal
Na rasta na koi Dagar hai yahan
Makhmoor Saeedi