اردو हिंदी
Na rahbari ka koi silsila nazar aae | Shaahi Shayari
na rahbari ka koi silsila nazar aae

Ghazal

Na rahbari ka koi silsila nazar aae

Anis Dehlavi

;

na rahbari ka koi silsila nazar aae
chalo wo rah jo be-naqsh-e-pa nazar aae

uDa gae hain bahut dhul jaane wale log
chhaTe ghubar to kuchh rasta nazar aae

bas ek lams ka ehsas kar gaya bechain
mahak hi teri na dast-e-hawa nazar aae

nigah chahiye bas ahl-e-dil faqiron ki
bura bhi dekhun to mujh ko bhala nazar aae

hamein ye sharm ki hum se to bandagi na hui
wo chahta hai ki misl-e-KHuda nazar aae

jo apne aap se aage na dekh sakta ho
hamara haal bhala us ko kya nazar aae

qusur-war na ho kar bhi tum miTao use
'anis' yar koi jab KHafa nazar aae