na puchho aql ki charbi chaDhi hai us ki boTi par
kisi shai ka asar hota nahin kam-baKHt moTi par
kafan se dusron ke jo silate hain libas apna
wo jazbe hans rahe hain ishq-e-sada ki langoTi par
yahi aish ek din ahl-e-hawas ka KHun chaTega
abhi kuchh din laga rakkhen wo is kutte ko roTi par
na jaane kaise nazuk tar ko mizrab ne chheDa
ki wajd aaKHir unhen bhi aa gaya nocha kasauTi par
mohabbat kuchh baDi hai umr mein aur hai hawas chhoTi
magar dil hai ki hai sau jaan se lahlut chhoTi par

Ghazal
Na puchho aql ki charbi chaDhi hai uski boTi par
Saleem Ahmed