na payam chahte hain na kalam chahte hain
meri raat ke andhere tera nam chahte hain
jo jigar ko KHak kar de jo dimagh phunk Dale
mere pyase honT aisa koi jam chahte hain
wo ho shughl-e-baada-noshi ki tawaf-e-ku-e-jaanan
gham-e-zindagi ke mare koi kaam chahte hain
hamein miT ke bhi ye hasrat ki bhaTakte us gali mein
wo hain kaise log ya rab jo qayam chahte hain
teri yaad teri aahaT tera chehra tera wada
koi shama ho magar hum sar-e-sham chahte hain
hum isi liye hain 'arshad' abhi tishna-masarrat
ki jo un labon se chhalke wahi jam chahte hain
Ghazal
Na payam chahte hain na kalam chahte hain
Arshad Siddiqui