اردو हिंदी
Na mohtasib se ye mujhko gharaz na mast se kaam | Shaahi Shayari
na mohtasib se ye mujhko gharaz na mast se kaam

Ghazal

Na mohtasib se ye mujhko gharaz na mast se kaam

Shaikh Zahuruddin Hatim

;

na mohtasib se ye mujh ko gharaz na mast se kaam
mujhe to lena hai saqi ke aaj dast se kaam

sanam tu meri parastish ki qadr tab jaane
ki jab paDe tujhe kafir KHuda-parast se kaam

main gosha-gir hua sair kar nasheb o faraaz
raha na mere qadam ko buland o past se kaam

rakhe hai shisha mera sang sath rabt-e-qadim
ki aaTh pahr mere dil ko hai shikast se kaam

jise masawi hai mazi o haal o mustaqbil
use raha nahin aainda bud-o-hast se kaam

main kufr o din se guzar kar hua hun la-mazhab
KHuda-parast se matlab na but-parast se kaam

kisu ko qaid kare hai kisu ko bandhe hai
wo le hai apne amal bich band-o-bast se kaam

dil us ki zulf ke pechon mein 'hatim' uljha hai
rakhe nahin hai mera said dam o shust se kaam