na mein yaqin mein rakhkhun na to guman mein rakh
hai sab ki baat to phir sab ke darmiyan mein rakh
wo dhup mein jo rahega to rup kho dega
chhupa le sine mein palkon ke saeban mein rakh
mere badan ko tu apne badan ki aanch na de
jo ho sake to meri jaan apni jaan mein rakh
na baiThne de kabhi azm ke parinde ko
uDan bhul na jae sada uDan mein rakh
mohabbaten nahin miltin mohabbaton ke baghair
use na bhul tu 'firdaus' apne dhyan mein rakh
Ghazal
Na mein yaqin mein rakhkhun na to guman mein rakh
Firdaus Gayavi