na mauj-e-baada na zulfon na in ghaTaon ne
mujhe Dasa hai meri shola-za nawaon ne
gham-e-hayat se Takra ke git ban jaana
sikha diya hai mujhe aap ki duaon ne
jo kaj-kulah-e-dayar-e-tarab hain sab kuchh hain
mujhe to luT liya hai meri wafaon ne
kabhi kabhi to suna hai hila diye hain mahal
hamare aise gharibon ki iltijaon ne
tumhaara husn ho ya meri shaeri un ko
amar kiya hai mohabbat ki aatmaon ne
gham-e-hayat o gham-e-dil bahut sahi lekin
koi sawal kiya hai abhi ghaTaon ne
kisi chaman kisi gul-pairahan ke ghar jaen
mujhi ko tak liya madh-bhari hawaon ne
ajib baat hai main jab bhi kuchh udas hua
diya sahaara harifon ki bad-duaon ne
main but-kadon se maqabir mein girne wala tha
magar sambhaal liya KHush-nazar KHudaon ne
KHabar hai garm ki ek tark-e-lucknow ko 'salam'
asir kar liya dilli ki apsaraon ne
Ghazal
Na mauj-e-baada na zulfon na in ghaTaon ne
Salam Machhli shahri