na mana mera kahna dil gaya kyun dad-KHwahi ko
saza dete hain wan mujrim bana kar be-gunahi ko
hamari be-kasi ne chhan Dala hai jahan sara
siwa tere Thikana hi nahin hai be-panahi ko
qayamat mein wo mujh ko dekh kar kahte hain ghairon se
KHuda ki shan hai aashiq chale hain dad-KHwahi ko
uDai KHak us ki KHub ja kar koh-o-sahra mein
dil-e-wahshi ne kya ulTe diye chakkar tabahi ko
ujaD jaega jis din karKHana baada-KHwaron ka
bahut roega saqi kashti-e-mai ki tabahi ko
bura ho rashk ka rahbar samajh kar dil se jo puchha
adam ka rasta batla diya gum-gashta-rahi ko
Ghazal
Na mana mera kahna dil gaya kyun dad-KHwahi ko
Ashique Akbarabadi

