na koi naqsh na paikar sarab chaaron taraf
tamam dasht asir-e-azab chaaron taraf
masih-e-waqt ab aae to bas KHuda aae
payambaron ki zamin aur azab chaaron taraf
main bichon-bich khaDa hun sulagte jangal mein
hisar bandhe hue aaftab chaaron taraf
hamare nam likhi ja chuki thi ruswai
hamein to hona tha yun bhi KHarab chaaron taraf
fasil-e-dard se yaadon ki dhup Dhalti hui
bikharte TuTte rangon ka KHwab chaaron taraf
'mujibi' kam nahin 'fikri' ki dosti ki panah
agarche dushman-e-jaan be-hisab chaaron taraf
Ghazal
Na koi naqsh na paikar sarab chaaron taraf
Siddique Mujibi