na kam hua hai na ho soz-e-iztirab-e-durun
tere qarib rahun main ki tujh se dur rahun
kahin koi tera mahram hai ai dil-e-mahzun
mujhe bata ki kidhar jaun kis se baat karun
teri nazar ne bahut kuchh sikha diya dil ko
kuchh itna sahl na tha warna karobar-e-junun
pukarti hain mujhe wusaten do-alam ki
main apne aap se daman chhuDa sakun to chalun
teri wafa na mujhe ras aa saki lekin
main sochta hun tujhe kaise bewafa kah dun
meri shikasta-dili ka na kar KHayal itna
kahin na main tere KHwabon mein talKHiyan bhar dun
giraft-e-asr-e-rawan is qadar to mohlat de
ki miT rahi hai jo duniya use main dekh to lun
ye kis KHayal ne ki hai meri zaban-bandi
tujhi se kahne ki baaten tujhi se kah na sakun
wo iztirab-talab tha kisi tawaqqo par
ab uTh chuki hai tawaqqo ab aa chala hai sukun

Ghazal
Na kam hua hai na ho soz-e-iztirab-e-durun
Makhmoor Saeedi