na jaane kaun hai dekha hua sa lagta hai
ek ajnabi hai magar aashna sa lagta hai
tazad-e-surat-o-sirat pe ab yaqin aaya
wo bewafa hai magar ba-wafa sa lagta hai
garan na guzra tha aisa ye intizar kabhi
ab ek lamha bhi sabr-azma sa lagta hai
unhen umid ho tamil ki to kyun kar ho
ki un ka hukm hi kuchh iltija sa lagta hai
ye phul sada-o-be-rang hi sahi lekin
tumhaare joDe mein kya KHushnuma sa lagta hai
wo bhai bhai hain rahte hain ek hi ghar mein
magar diyon mein baDa fasla sa lagta hai
wo tum wo main wo lab-e-ju wo raat aur wo chand
ye ek KHwab hi kitna bhala sa lagta hai
na mujh mein wasf na KHubi na kuchh hunar phir bhi
tamam shahr mera ham-nawa sa lagta hai
ye aaj shahr mein kya baat ho gai 'kausar'
jise bhi dekhiye sahma hua sa lagta hai

Ghazal
Na jaane kaun hai dekha hua sa lagta hai
Maher Chand Kausar