na hote shad aain-e-gulistan dekhne wale
fasana bhi agar paDh lete unwan dekhne wale
halakat-KHez ijadon pe duniya faKHr karti hai
kahan hain irtiqa-e-nau-e-insan dekhne wale
jo mumkin ho tum apne hath ki rekha khurach Dalo
ki hum hain to sahi KHwab-e-pareshan dekhne wale
ye raKHne hain ye dar hain ye tere ajdad ke sar hain
idhar aa katba-e-diwar-e-zindan dekhne wale
tulu-e-aftab-e-agahi kya KHak dekhenge
hiqarat se mera chaak-e-gareban dekhne wale
to phir kaisi nazar-bandi tilsimat-e-tadabbur kya
jo KHud ko dekh len jashn-e-charaghan dekhne wale
shikast-e-zauq-e-nazzara muqaddar hi sahi 'ghausi'
unhen dekhenge phir bhi ta-ba-imkan dekhne wale
Ghazal
Na hote shad aain-e-gulistan dekhne wale
Ghaus Mohammad Ghausi