اردو हिंदी
Na hone ka guman rakkha hua hai | Shaahi Shayari
na hone ka guman rakkha hua hai

Ghazal

Na hone ka guman rakkha hua hai

Kashif Husain Ghair

;

na hone ka guman rakkha hua hai
ki hone mein ziyan rakkha hua hai

zamin ke jism par qabren nahin hain
KHayal-e-raftagan rakkha hua hai

sar-e-mizhgan mere aansu nahin hain
suluk-e-dostan rakkha hua hai

yahan jo ek charagh-e-zindagi tha
na jaane ab kahan rakkha hua hai

ye duniya ek tilism-e-ab-o-gil hai
yahan sab raegan rakkha hua hai