اردو हिंदी
Na ham-nawa mere zauq-e-KHiram ka nikla | Shaahi Shayari
na ham-nawa mere zauq-e-KHiram ka nikla

Ghazal

Na ham-nawa mere zauq-e-KHiram ka nikla

Mazhar Imam

;

na ham-nawa mere zauq-e-KHiram ka nikla
ye rasta bhi usi narm-gam ka nikla

nae gulon ki sada-e-shaguft tez hui
hawa ke lams se rishta kalam ka nikla

musawwiri na sahi kaam aai be-hunari
koi bahana to un se salam ka nikla

talash-e-rizq mein nikle the mahr-e-subh liye
aqab se pahla sitara bhi sham ka nikla

yahan bhi dhup chali aai be-KHayali ki
ye saeban-e-tasawwur na kaam ka nikla

musahibon ki tarah har qadam pe KHar mile
mera safar to baDe ehtimam ka nikla

wahi shajar wahi patte wahi hawa wahi aag
kalam-e-nau bhi mera rang-e-am ka nikla