اردو हिंदी
Na hum mahw-e-KHayal abru-e-KHam-dar sote hain | Shaahi Shayari
na hum mahw-e-KHayal abru-e-KHam-dar sote hain

Ghazal

Na hum mahw-e-KHayal abru-e-KHam-dar sote hain

Maroof Dehlvi

;

na hum mahw-e-KHayal abru-e-KHam-dar sote hain
sipahi hain zi-bas bandhe hue talwar sote hain

tumhaara sote sote chaunk paDna khab gaya dil mein
ki aksar KHud-baKHud ho ho ke hum bedar sote hain

ilahi hum ko hai kis ka KHayal-e-KHwab-o-be-dari
jo lakhon haar uThte hain hazaron yar sote hain

nigah-e-mast-e-saqi mein hai kya dara-e-be-hoshi
ki saghar lag raha hai munh se aur mai-KHwar sote hain

na kar waswas dil mein chal wahan 'maruf' be-khaTke
ki darban unghta hai aur chaukidar sote hain