اردو हिंदी
Na ghar sukun-kada hai na karKHana-e-ishq | Shaahi Shayari
na ghar sukun-kada hai na karKHana-e-ishq

Ghazal

Na ghar sukun-kada hai na karKHana-e-ishq

Abid Wadood

;

na ghar sukun-kada hai na karKHana-e-ishq
magar ye hum hain ki likhte rahe hain nama-e-ishq

bahut se nam the ab koi yaad aata nahin
hamare dil mein raha dafn ek KHazana-e-ishq

sab apne apne tariqe se bhik mangte hain
koi ba-nam-e-mohabbat koi ba-jama-e-ishq

tumhi pe kya ki hum ab KHud pe bhi nahin khulte
to kya ye kam hai ki hum par khula fasana-e-ishq

kai zamane gae aur badal gaya sab kuchh
magar kabhi nahin badla tera zamana-e-ishq

sulagte rahne ki lazzat use kahan malum
ki jab talak koi banta nahin nishana-e-ishq

use phir apni KHabar bhi nahin rahi 'abid'
laga hai jis ko bhi ek bar taziyana-e-ishq