اردو हिंदी
Na furaat-o-dajla pe naz kar na fareb-e-gang-o-jaman mein aa | Shaahi Shayari
na furaat-o-dajla pe naz kar na fareb-e-gang-o-jaman mein aa

Ghazal

Na furaat-o-dajla pe naz kar na fareb-e-gang-o-jaman mein aa

Arsh Malsiyani

;

na furaat-o-dajla pe naz kar na fareb-e-gang-o-jaman mein aa
ye jahan sab hai tera watan tu kidhar hai apne watan mein aa

tu hai rang-e-nargis-o-nastaran hai tujhi se raunaq-e-anjuman
tere muntazir hain gul-o-saman to bahaar ban ke chaman mein aa

tujhe lakh log hasin kahen tujh lakh durr-e-samin kahen
teri qadr hogi faqat yahin to harim-e-dil ke adn mein aa

jo KHayal-e-KHuld mein ho magan mai-o-angbin mein ho jis ka man
jo watan mein rah ke ho be-watan use kya kahun ki watan mein aa

ye bahaar-e-bagh ye mahfilen teri KHalwaton pe nisar hon
tujhe kaam ghuncha-o-gul se kya tu chaman ko chhoD ke ban mein aa

rah-o-rasm-e-ishq pe rakh nazar ho jahan-e-nau ka payambar
na to ahd-e-rafta ko yaad kar na fareb-e-charKH-e-kuhan mein aa

ye khula na hum pe ki tu kahan mai-e-sher pi ke nikal gaya
tujhe yaad karte hain 'arsh' sab kabhi phir bhi bazm-e-suKHan mein aa