na dekha ruKH be-naqab-e-mohabbat
mohabbat hai shayad hijab-e-mohabbat
barasta hai kaif-e-shabab-e-mohabbat
har aansu hai jam-e-sharab-e-mohabbat
ajab josh par hai shabab-e-mohabbat
mohabbat hai mast-e-sharab-e-mohabbat
zahe KHwab o tabir KHwab-e-mohabbat
mohabbat hi nikli jawab-e-mohabbat
mujhe kya paDi hai tere dar se uTThun
Thaharne jo de iztirab-e-mohabbat
dil-e-zarra zarra hai tur-e-tajalli
zahe jalwa-e-aftab-e-mohabbat
sabhi uTh gae dida o dil se parde
na uTTha magar ek hijab-e-mohabbat
na rakkho gharaz hum se itna hi kah do
halak-e-tabassum KHarab-e-mohabbat
lahu ki har ek bund dil ban gai hai
KHusha lazzat-e-kaamyab-e-mohabbat
hudud-e-mohabbat se bhi baDh gae hum
salamat rahe iztirab-e-mohabbat
Ghazal
Na dekha ruKH be-naqab-e-mohabbat
Jigar Moradabadi