na be-kali ka hunar hai na jaan-fazai ka
hamein to shauq hai bas yunhi nai-nawai ka
jab us ko jaanne nikle to kuchh nahin jaana
KHuda se hum ko bhi dawa tha aashnai ka
rah-e-hayat mein koi nahin to kya shikwa
hamein gila hai to bas apni bewafai ka
hamari aankhon se shabnam Tapak rahi hai abhi
yahi to waqt hai us gul ki ru-numai ka
use kahan hamein qaidi bana ke rakhna tha
hamin ko shauq nahin tha kabhi rihai ka
Ghazal
Na be-kali ka hunar hai na jaan-fazai ka
Taleef Haidar