na bahte ashk to tasir mein siwa hote
sadaf mein rahte ye moti to be-baha hote
mujh aise rind se rakhte zarur hi ulfat
janab-e-shaiKH agar aashiq-e-KHuda hote
gunahgaron ne dekha jamal-e-rahmat ko
kahan nasib ye hota jo be-KHata hote
janab-e-hazrat-e-naseh ka wah kya kahna
jo ek baat na hoti to auliya hote
mazaq-e-ishq nahin sheKH mein ye hai afsos
ye chashni bhi jo hoti to kya se kya hote
mahall-e-shukr hain 'akbar' ye darafshan nazmen
har ek zaban ko ye moti nahin ata hote
Ghazal
Na bahte ashk to tasir mein siwa hote
Akbar Allahabadi