na aaya aaj bhi sab khel apna miTTi hai
tamam raat ye sar aur palang ki paTTi hai
jabin pe qahr na tanha siyah paTTi hai
bhawon ki tegh bhi kafir baDi hi kaTTi hai
phunki nikalti hain ashkon ki shishiyan yaro
hamare sine mein kis shishagar ki bhaTTi hai
gale lagaiye munh chumiye sula rakhiye
hamare dil mein bhi kya kya hawas ikhaTTi hai
koi hijab nahin tujh mein aur sanam mein 'nazir'
magar tu aap hi parda aur aapi TaTTi hai

Ghazal
Na aaya aaj bhi sab khel apna miTTi hai
Nazeer Akbarabadi