muztarib dil ki kahani aur hai
koi lekin us ka sani aur hai
us ki aankhen dekh kar hum par khula
ye shuur-e-hukmarani aur hai
ye jo qatil hain unhen kuchh mat kaho
is sitam ka koi bani aur hai
umr bhar tum shairi karte raho
zaKHm-e-dil ki tarjumani aur hai
hausla TuTe na rah-e-shauq mein
gham ki aisi mezbani aur hai
muddaa izhaar se khulta nahin hai
ye zaban-e-be-zabani aur hai
aaine ke samne baiTha hai kaun
aaj manzar par jawani aur hai
Ghazal
Muztarib dil ki kahani aur hai
Fasih Akmal