اردو हिंदी
Muskuraati aankhon ko doston ki nam karna | Shaahi Shayari
muskuraati aankhon ko doston ki nam karna

Ghazal

Muskuraati aankhon ko doston ki nam karna

Ram Riyaz

;

muskuraati aankhon ko doston ki nam karna
ram aise afsane chhoD do raqam karna

ab kahan wo pahli si fursaten mayassar hain
sara din safar karna sari raat gham karna

sabr ki riwayat mein jabr ki adalat mein
lab kabhi na wa karna sar kabhi na zaKHm karna

main gunahgaron mein sahab-e-tariqat hun
daKHili shahadat par mera sar qalam karna

zindagi to sapna hai kaun 'ram' apna hai
kya kisi ko dukh dena kya kisi ka gham karna