mushkilen kitni hain poshida is aasani mein
sona paDta hai hamein KHwab ki nigarani mein
KHud se milna ho to fursat ke palon mein milna
aks dikhte hi nahin bahte hue pani mein
baad muddat ke mila tha wo magar tha kaisa
dekhna bhul gaya us ko main hairani mein
teri yaad aai to hairat bhi nahin hai mujh ko
yaad apna hi to aata hai pareshani mein
kya hua jis ne yaqin ko tere mismar kiya
tu ne kya dekh liya lamha-e-imkani mein

Ghazal
Mushkilen kitni hain poshida is aasani mein
Zia Zameer