اردو हिंदी
Musawwir apne tasawwur ka DhunDhta hai dawam | Shaahi Shayari
musawwir apne tasawwur ka DhunDhta hai dawam

Ghazal

Musawwir apne tasawwur ka DhunDhta hai dawam

Saeed-ul-Zafar Chughtai

;

musawwir apne tasawwur ka DhunDhta hai dawam
na jam-e-jam na visal-e-sanam na shohrat-o-nam

hayat jabr-e-musalsal hai tu hai jabr-shikan
har ek gam pe aazadgi ka tujh ko salam

tasawwuraat ke phulon mein rang bharta hai
haqiqaton ki kaDi dhup deti hai inam

sahar bhi hogi nasim-e-sahar bhi gaegi
magar ye raat mohabbat charagh zahr ke jam

sharab pi bhi to pi chashm-e-mast saqi se
magar chaDhae piya pe gham-e-hayat ke jam

main apni shama jalata raha hun tauba par
main apne shoale se hota raha hun garm-e-kalam

usi se mere rag-o-pai mein aatish-e-sayyal
usi se mere tasawwur ke KHam mein mah-e-tamam