musalsal yaad aati hai chamak chashm-e-ghazalan ki
akeli zat hai aur raat hai jangal bayaban ki
zara dekho hawa-e-subh kaise khinch lai hai
akeli pankhuDi mein dilkashi sare gulistan ki
inhin galiyon mein khulte the mulaqaton ke darwaze
inhin galiyon mein chalti hain hawaen sham-e-hijran ki
koi zarre ko zarra hi samajh kar chhoD deta hai
kisi ko sujhti hai is se tamir-e-bayaban ki
ye wo mausam hai jis mein koi patta bhi nahin hilta
dil-e-tanha uThata hai saubat sham-e-hijran ki
yahi kafi hai dil se muddaton ka bojh to utra
chalo is chashm-e-giryan ne koi mushkil to aasan ki
sitare dard ki aawaz se ghafil nahin rahte
dam-e-ahu se raushan mishalen reg-e-bayaban ki
Ghazal
Musalsal yaad aati hai chamak chashm-e-ghazalan ki
Ahmad Mushtaq