musafirat ke tahayyur se kaT ke kab aae
jo chauthi samt ko nikle palaT ke kab aae
ab apne aks ko pahchanna bhi mushkil hai
hum apne aap mein hairat se haT ke kab aae
ek intishaar tha ghar mein bhi ghar se bahar bhi
sanwar ke nikle the kis din simaT ke kab aae
hum aise KHalwatiyon se mukalme ko ye log
jahan bhar ki sadaon se aT ke kab aae
ye guftugu to hai radd-e-amal teri chup ka
jo kah rahe hain ye hum ghar se raT ke kab aae
jab apne aap mein masruf ho gaya wo bahut
hum us ki samt zamane se kaT ke kab aae
'riyaz' dhyan ham-aghosh aaine se raha
KHayal us ke tasawwur se haT ke kab aae
Ghazal
Musafirat ke tahayyur se kaT ke kab aae
Riaz Majeed