اردو हिंदी
Munjamid aaKHir hai kyun ta-hadd-e-manzar phail ja | Shaahi Shayari
munjamid aaKHir hai kyun ta-hadd-e-manzar phail ja

Ghazal

Munjamid aaKHir hai kyun ta-hadd-e-manzar phail ja

Rashid Anwar Rashid

;

munjamid aaKHir hai kyun ta-hadd-e-manzar phail ja
chaar jaanib ai mere KHun ke samundar phail ja

meri aawara-mizaji ka rakha tu ne bharam
ai ghubar-e-dasht aa sine ke andar phail ja

aa tujhe apni nazar se bhi rakhun mahfuz main
shauq se mujh mein sama andar hi andar phail ja

tazkaron ka oDh jama ai meri zinda-dili
har nae qasbe mein ja basti mein ghar ghar phail ja

aah-o-zari chhoD apni zat se bahar nikal
qahqahe ki gunj ban kar aasman par phail ja