munh se tere sau bar ke sharmae hue hain
kya zarf hai ghunchon ka jo itrae hue hain
kahte hain gino mujh pe jo dil aae hue hain
kuchh chhine hue hain mere kuchh pae hue hain
KHanjar pe nazar hai kabhi daman pe nazar hai
kaun aata hai mahshar mein wo ghabrae hue hain
lab par hai agar aah to aankhon mein hain aansu
baadal ye bahut der se garmae hue hain
mai pine mein kya zid thi koi zahr nahin hai
hai teri qasam 'shola' qasam khae hue hain
Ghazal
Munh se tere sau bar ke sharmae hue hain
Shola Aligarhi