munh se jo milaiye kisi ko
kyun dagh lagaiye kisi ko
aaina-e-kaj-numa hain ahbab
surat na dikhaiye kisi ko
jo surat-e-zaKHm KHun ro de
aisa na hansaiye kisi ko
kuchh KHub nahin hai aadat-e-zulm
hargiz na sataiye kisi ko
diwar se koi phoDega sar
dar se na uThaiye kisi ko
mushtaq hai koi zer-e-diwar
aawaz sunaiye kisi ko
mushkil hai bigaD kar banana
hargiz na miTaiye kisi ko
is fikr mein hai mera pari-ru
diwana banaiye kisi ko
hota hai 'shuur' dard dil mein
phoDa ye dikhaiye kisi ko
Ghazal
Munh se jo milaiye kisi ko
Shuoor Balgirami